Tuesday, June 23, 2009


"zindagi kai rangoon mein aik aisa rang hai ye jis kai anai sai baharoon ka sama ata hai jis kai janai sai veerani ka sama lagta hai...kehtai hain mohabbat hia jo diloon ko zinda karti hia lekin ye dosti hai jo is ki rooh mein shamil isai abaad karti hai "

aik aisa rishta jis kai honai ka ehsaas hi zindagi ko noor baksh daita hai jis kai anai sai zindagi mein aik ajeeb si khushi aik ajeeb si kashish ajati hai yun lagta hai jaisai chaar soo sirf raushni ho jaisai har taraf ujala ho jaisai har lamhai koi sath ho jisai sirf aap kai sukh ka hi nahi aap ka dukh ka bhi pata hai /rose dosti aik aisa rishta jisai insaan dil sai banata hai dil sai jeeta hai dil sai seenchta hai sabar sai mohabbat sai isai nibhata hai...magar haan ye bhi sach hai kai agar is ki rahoon mien wafa hai to kantai bhi yaheen milain gai agar dost dil jortai hian to phir tortai bhi wahi hai agar yakeen woh bantai hain to beyakeeni ki dehleez par tanha bhi woh kartai hain agar subha ka ujala hain to sard shaam bhi wohi daitai hain to phir kya hai ye dosti...kya kehtai hain isai mein nahi jaan pai aaj tak kai dil sai banai rishtoon mein insaan thokar kaisai khata hai kyon kuch loog aap ko tanhai ki saza suna kar khud kahin kho jatai hian kyon nahi hum unhain bhool jatai jo apni ana ki khatir hamein hi toor jatai hain kyon akhir shayad isliyai kyon kai ye rishtai hum nai banaya hota hai hamein yakeen hota hai kahin na kahin aik umeed hoti hai kai woh ai ga woh raunak wapas ai gi lekin aisa hota nahi hai haan har hath milanai wala dost nahi hota kyon kai har dil mein aap kai liyai pyar wohi khuloos woh wafa nahi hoti magar kya karain hum to dosti kartai hain usai nibhatai hain chahai dost kantai kyon na dai woh bhi phool hi lagtai hain..ajeeb hi rishta hai ye...yakeen aur beyakeeni kai beech bas aik lamha bhar ka fasla hota hai aik zara si ranjish jisai tor daiti hai...kehtai hian dil kai rishtai bauhat mazboot hotai hain lekin ye bhi jhoot hi sabit huwa kyon kai mein nai dekha hia lamhoon mein is rishtai ko tottai huwai is kai daman mein chupai dil siskiyaan bhartai rehtai hain...lekin unhain sun nai wala koi nahi hota aur woh woh jis par aap zindagi sai zayada aitebaar kartai ho woh khud ja chuka hota hai haan is rishtai kai bhi kai roop hain kahin kisi ko is ki bisaat par maat milti hai to koi jeet jaata hai...ajeeb hi uljha huwa rishta hai ye...har insaan dost hota nahi kyon kai dil sai har koi isai nibha nahi sakta /rose

kahin dosti dhoop hai to kahin yehi rishta chaoon hai agar kisi kai daman mein ansoo hain to kahin kisi ki hansi bhi isi sai hai kahin raushni kahin andhera /rose

dosti kya hai dost kya hain.....meri zindagi hain...Khuda nai bauhat sai aisai phooloon sai meri zindagi ko sajaya hai jinhoon nai har lamha har pal mera sath diya hai...mein kisi aik dost ka naam kaisai loon kisai maan doon kai mere sab dost hi aisai hain haan mein yehi kar sakti hoon kai dua karoon ye dosti sada kayam rahai ameen sum ameen /dua ye nahi kahoongi kai dosti ki rahain kathin nahi theen theen bauhat sai lamhai bauhat sai pal andhera bhi banai lekin woh kehtai hian na kai yakeen ho to sab kuch theek ho jata hai so yehi yakeen hai kai dosti kai kisi bhi lamhai mien andhera ai ga to hum mil kar isai door karain gai /rose

yahan aap sab sai bhi yehi kehna chahonona kai :

friends are like angels cherish them and care for them for GOD has given u a gift learn to respect it and love it /rose

khush rahiyai sab

1 comment:

  1. VERY NICE SITE
    PLZ VIST MY SITE
    www.nazpoetry-1.blogspot.com

    ReplyDelete